Wazoo Ka Tareeqa Aur Bayaan
1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se
leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan
ke lov tak
2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
3. Chauthayi sarka masa karna
4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Ye hai Wazu ke 4 Faraiz
Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu
mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath
rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe
se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi
nahi hogi.
wazu ki niyath
"Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda'oo lirafayil hadas"
yun to wazu ki niyatein buhat sari hai,usme se ek ya bhi hai. Apko jo
ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle"Bismillaahi wal
hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki
Pyare Aqa swallallaahu alai hi wa sallam farmate hai ke "jo shaks wazu
shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah
azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal
me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na
kare"
dekhiye sirf thudi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se
pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe to hamare namaye amal me
bhahut sare nekiya milenge
Wazu ka tarikha
Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath
Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne
ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni
zuban me istarha kare "Ya Allaah my wazu karta hoon paki hasil karne
ke liye" agar hum itna kahe to hamari wazu ki niyath ho jayegi magar
Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre
duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki
sunnath hai aur
Niyath karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dho
lein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti
ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke peechewali jo ungalika hissa hai
woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi
bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari
namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam
farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki kunji hai"
Miswak kare: Apne dono haton ko pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3
martaba Miswak kare,Insha-Allaah azzawajal miswak ka tarikha aur uske
sunnatein wazu ka topic khatam hone ke bad bataya jayega, Miswak karne
ke bad 3 martaba garare ke sath
Kulli Karen: kulli kare aur aap Roze ki halath mein ho tho garare ke
sath na kare balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai
tho garare ke sath hi kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye
bhi mere Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.
Naak Saaf Karen: Apne naak ke naram haddi tak 3 martaba pani chadaye
aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka tarikha ye hai ke apni
bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele naak ki dayen
(Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf
karlen.
Chehra Dhoyen: Chehra dhone ka tarikha ye hai ke, phele ek martaba
hateinliyon mein pani leker apni peshani ki jagah se bhahaye aur
achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi tarikhe se
pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. Pyare Aqa swallallahu
alai hi wa sallam ke pyare dewano,jab ham chehera dhote hai to ye
ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur
palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu
nahi hoga isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal
lein, aur chehera dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi
ka khilal karne ka tarikha ye hai ke phele apne aage ke janib pani
bhahaye, phir daayen (right) janib aur phir bayen(left) janib bhahaye
aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is baat ka khas khayal
rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche
Haath Dhoyen: 3 martaba apne dono hathon ko koniyoun sameth dhoye.
Phele sidha(right) hath dhoye aur phir bayen(left). Jab aap sidha
(right) hath dhote hai to phele ek martaba pani bhahaye aur apne hath
ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba pani bhahaye aur
phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker acche
tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha
hathon ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka
masa kare
Sar ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono
haton ko teen hisson mein baant lein.
Pehla hissa Kiri (Choti) Ungali, beech wali ungali aur
ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon ko ek hissen mein baant lein.
Dusra hissa apni shahadath ki ungali
Teesra hissa apna Ungootha.
Iske baad sar ka Masa karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen
Ungaliyon se) apne sar ke uper ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote
hein) peeche tak mal lein. phir apni hatheliyon se sar ke dono side ke
balon ko peeche se lekar aage tak malein. Uske baad Dusra hisse
(Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen. Phir teesra
Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne
hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka
masa karen.
Pair Dhoyen: Donu pairo ko takhno sameth dhoye, phele sidha (right)
pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye. Jab ap sidha(right) pair
dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah karen ke apni
bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli ke
darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se
shuru karte huea tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi
tarha apna bayen(left) pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se
shuru karte huea tarteeb se choti ungli per khatam karen).Aur jab aap
pair dhote hai to ye zyada ahtiyath rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi
pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki yediyean phati hai
(yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani bahaye agar
waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab wazu
hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.
NOTE: jab aap wazu me pair dhote hai to sirf bayen(left) hath istemal
kare, sida(right) hath istemal na kare kyun ki woh makrooh hai
Donu pair ko dholene ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur
qibla rookh hoker kalmaye shahadath pade(2 kalma).
Kalmaye Shahadath:"Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa
Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu"
Ye hai wazu ka mukamal tarikha
Please Note: Uper bataye tarike mein kisi tarah ki galati, ya khami,
ya chook ho gayi ho tho aap please hamein batayen. Ta'aki kisi se
galati na ho.
Dua hai ki Rabbe qadir hamein aur aapko sunnaton per amal karte huea
mukammal tarike se Wazu karne ki taufiq ada farmaye (Ameen)
Ameen Bejaahen-Nabiel Amen Sallallaho Alahe Wasallam…